New

DD Free Dish E Auction | DTH Free Dish Latest Update

DD Free Dish E Auction Will be held very soon

Information Source




Dd free dish e auction
DD Free dish E Auction Complete Details
Dd free dish e auction par rok lagaye huye pura 1 - 1.5 saal ho chuka hai. Is e auction process ka dd free dish par bahut sare new channels aane ka intjaar kar rahe hai, or sath hi dd free dish users new channels ke liye taras rahe hai.

Aslo Check out
ABS2 kiyo band hai? Kab chalega?

Last E Auction jo October 2017 me held honi thi use 1 - 1.5 saal se postpone kiya ja raha hai, lekin ab MiB (Ministry of Information & Broadcasting) is E Auction ko green signal de rahi hai, ki Yeh E Auction process 11 feb 2019 tak complete ho sakti hai. But ministry ne abhi tak iski official announcement nahi ki hai.
This information Source Exchange4Media

1 saal se is E Auction pat rok ka kya karan hai?
Yeh E Auction ka process kab tak complete hoga?
Kitne new channels dd free dish par aa sakte hai?
Is baar single slot ke liye broadcasters ko kita paisa dd free dish ko pay karna hoga?

Complete information video on YouTube


What is E Auction?

E Auction me hota kya hai ki dd freedish apne channel slots ki nilami krta hai, jisme sabhi broadcasters bad chad kr boli lgate hai, aur jyada se jyada slots jeetne ki try krte hai, to is trah se dd freedish ko kmsi hoti hai. Aur ye broadcasters paisa kmane ke liye apne channels pr ads chalate hai.

About Last E auction

Ab last E auction jo July 2017 me huyi thi, usme 11 private broadcasters ne slots jeete the, yaha pe per channel slot ka base price 8crore rupees tha. Is trah se dd freedish ne last e auction me lagbhag 8crore rupees earn kiye the aur sabhi broadcasters ko bhi is se kafi fayada huya tha.

DD Freedish 's Success 

Is trah se day by day channels ki growth ho rahi hai, lekin dd freedish ki growth dusri pay dth companies jaise dishtv, airtel, videocone d2h etc ke liye chinta ka subject ban chuki hai, kyonki dd freedish private channels ke bahut sare market shares le jati hai. Last 4 years se dd freedish par hindi channels ki growth dusri pay dth companies ki mandi ka karan ban chuki hai.
Is trah se dd freedish ki success ne badi badi broadcasting companies jaise star india etc ko apne business model me changes krne aur free channels launch krne ke liye majboor kr diya hai. Example ke liye recently star network ne star sports 1 and star bharat free to air channels launch kiye hai, iske pichhe dd freedish ki success ka hi haath hai.
Normally Indian broadcasting companies paid channels lauch krna hi psand krti hai, taki ve ads ke alawa subscription charges se bhi earnings kr ske, lekin dd freedish par ese subscription wale paid channels ke liye koi jagah nahi hai. To is trah se dd freedish platform pr apni jagah bnaye rakhne ke liye broadcasting companies ko free to air channels hi launch krne honge ya fir paid channels ko free to air krna hoga.

DD Freedish 's E Auction and New Channels

To is trah se dd freedish pr new channels aane ke bahut sare raste khul chuke hai.
Iske sath hi dd freedish platform ko expand  krne ke liye iske 12th plan ke according channels ke number ko 250 tk increase krne ka aim hai, lekin last year se is E Auction ke process pr rok ke karn dd freedish pr channels ka number 80 se decrease hokr 72 hi rh chuki hai. In channels ke number loss ka reason hai ki channel ke lagatar contracts expire ho rahe hai, aur ve channels ya to dd freedish ko chhod rhe hai, ya fir purane base prices pr hi monthly basis pe continues chl rahe hai.



Why E Auction being Postponed & Needs of E Auction

Jab se Smriti Iraani ne information & broadcasting ministry ka padbhar smbhala hai tab se is e auction ke process ko aage se aage postpone kiya ja raha hai. Jis se dd freedish grow krne ki bjaye down ja raha hai. Kyonki e auction ke bina bahut sare test channels ke roop me empty slots hote huye bhi dd freedish pr new channels add nahi ho skte.
Is trah se dd freedish ki e auction bahut jaldi hone ki maang ki ja rahi hai.

Rajayavardhan Singh Rathore View

Iske alawa information & broadcasting ministry ke junior minister Mr Rajayvardhan Singh Rathore ne bhi is e auction ki jrurat btayi hai. Unka kehna hai ki dd freedish pr available channels doordarshan se bhi jyada paisa earn kr rahe hai.
Ek news report ke according private channels 500-700crore per year earn kr rahe hai, for example zee entertainment 4400 crore per year earn krta hai, jisme zee ke 34 channels hai, jo average  129crore per year earn kr rahe hai. Jabki dd freedish ne last year sirf 264crore rupees earn kiye hai.
Dd freedish ke 12th plan ke according yadi channels ke number ko 250 tk expand kiya jaye, jinme se 200 channels ki boli, average 6crore per slot bhi ho, to dd freedish 1200crore per year earn kr sakta hai.

DD Freedish 's E Auction : Conclusion

In sab reasons se dd freedish ka ek new business model bnane ke liye is e auction ki jor shor se maang ki ja rahi hai. Rajayvardhan Singh Rathore ne to is e auction ka elan kiya tha ki E auction 2018 last tk ho sakti hai lekin kisi karnvash ye nahi ho payi, ab 2019 me yeh E auction 11 Feb 2018 tk ho skti hai lekin yeh date thodi aage pichhe ho sakti hai. Lekin abhi tk official announcement nahi huyi hai. Source ke according is e auction me kafi new channels dd freedish pr aa sakte hai, filhal dd freedish pr 50-60 hindi channels available hai, lekin ab regional channels ki demand ko dekhte huye in regional channels ki ek alag se category bnayi jayegi, jisme desh ki alag alag regional languages ke channels ke slots reserved honge, jinke base prices kuchh different ho skte hai, bcoz ye channels ek regional language tk limited hote hai, to inhe small channels me count kiya jata hai. Iske alawa E auction ke bare me industry observers ka kehna hai ki yadi slots ke base prices increase jote hai to ye kafi broadcasters ke liye dd freedish ke sath rehna mushkil ho skta hai. Filhal base prices 8crore rupees hai, jise dd freedish ko review krna hoga, kyonki yadi is bar bhi E auction isi base price se start hoti hai to small broadcasters dd freedish ko chhodkr ja skte hai. Is E auction ke bare me leading broadcasters ka kehna hai ki abhi tk to doordarshan ki aur se unko E auction ke liye invitation nahi mila hai. Jab tk invitation ata hai, sabhi broadcasters new tariff rates ka wait kr rahe hai, jo bahut jaldi bta diye jayenge. Ab dekha jata hai ki yeh E auction ka process kab tk complete hota hai. Last year se is E auction pr rok ka karn dusri pay dth companies bhi ho sakti hai, kyoki dd freedish pr channels ki growth se baar baar in pay dth companies ko bhari nuksan uthana pd raha hai. Yadi yeh E auction process complete hota hai to yeh dd freedish users ke liye good news hogi, kyonki dd freedish ke channels ka number bahut jaldi 250tk expand krne ka plan hai. To hme bahut sare new channels dd freedish pr dekhne ko mil skte hai.
Plz share with DD Freedish users.
For any latest updates stay tune with us.
Thnq😊
Also Check

No comments:

Post a Comment