New

ABS 2 Closed | ABS Free Dish Kiyo Band Hai? Kab Chalega?

ABS 2 75e South Asia Ku Band Beam Known As ABS Free Dish in India, which is Operates by ABS Satellite Company, is Closed Now.
Abs 2 Freedish closed
Abs 2 Freedish closed 

ABS 2
 
or ABS Free Dish  ke bare me to aapko pta hi hoga jo 80 se jyada free to air indian regional channels ke liye bahut popular hai. Last 3-4 saal se to bahut se indian log dd free dish se Abs2 75°E pr chale gye hai. Aur baki ek hi dish pr dono Abs2 + DD Free dish multi satellites set krke dono ko ek saath enjoy kr rahe the.
Lekin 2018 ke start me hi ABS 2 users ko buri khabre milne lagi, 3 jan 2018 ko sabse pahle 15 channel hat gye, iske baad 6 jan ko 40 se jayada aur hat gye.
Iske baad kafi time tak ese hi channels ka hatna aur judna laga raha, lekin had to tab ho gyi jab 30 April 2018 ko abs2 ke sare channels pr no signal ho gya.
Abs 2 users ke dimaag me bahut se questions aate honge ki ye Abs 2 kiyo band huya?
To aaj ham Isi pr charcha krenge ki



ABS 2 India me kese chalta tha?
Kyo band ho gya?
Kya wapis chalega?
Chalega to kab tak?

Yaha pe me aapko Abs Free Dish ki esi info information milegi jo shayad apko kisi ne bhi nahi btai hogi. To Aap is Article ko last tak jrur padiye.
Aap YouTube pr Video bhi dekh sakte hain.

● ABS 2 India me kese chalta hai?


Sabse to To question aata hai ki Abs 2 na to India ka satellite hai aur na hi india me iski koi licensed DTH service hai to fir ye Abs2 75°E Ku Band Beam india me itna achha coverage krta hai.
Ye shayad aapne pahle kabhi nahi socha hoga lekin ab soch liya hai to main apko batata hu. 

■Also Read :
New satellite SES 12 ki full information

Abs 2 free me India me ye Free to Air channel provide nahi kar raha balki ABS 2  75°E ke is ku band beam duara Nepal aur Bangladesh me Apni licensed paid ya premium DTH services provide kar raha hai. Jaise hamare yaha Dishtv, Airtel, Tata Sky...etc Paid DTH Services hai, wese hi Bangladesh me Real Vu Aur Nepal me Hamro TV Paid DTH services hain, jinki broadcasting ABS2 75°E ke South Asia Ku Band Beam duara ki jati hai. Kyonki Nepal aur Bangladesh Jyada Viksit desh nahi hai isiliye ve apne khud ke satellites to launch nahibkar sakte.
Bangladesh aur Nepal india ke padosi desh hain, aur inki DTH Services ke liye ABS 2 ke signals India me se hi jate hai jis karan India me ABS 2 ka itna achha coverage hai. Aur India me 2 feet dish pr hi Abs 2 aaram se set ho jata hai, aur isme bahut indian channels fta mil jate the.
Ab questions ye hoga ki satellite kahi ka DTH services kahi ki to isme indian channel kese milte the?
Iska kaaran ye hai ki Bangladesh aur nepal india ke padosi desh hai jis se bahut languages common hoti hai. Aur baaki ABS Satellite Network worldwide apna network fela raha hai jiske kaaran, India me Abs 2 ka coverage hone se kuchh Indian Channels Free to air de raha tha. Aur Indian Channels bhi kam se kam investment krke Abs 2 ko apne channels ki broadcasting de rahe the taki ve kuchh jyada popularity aur earnings gain kar sake.
To trah se ABS 2 India me chalta tha.

●Ab ABS 2 Band kiyo hai?


Sabse pahle to ye baat clear kr du ki ABS 2 band nahi huya balki Indian Channels hta diye gye hain. Kyonki aap abhi bhi Abs 2 ko scan krenge to kafi sare doller sign ($) wale paid channel mil jayenge jo Nepal aur Bangladesh ki Paid DTH Services ke channel hai.
Ab ye baat krte hain ko Indian Channels Abs 2 se kiyo hata diye gye?
Aap shayad Raj Vardhan Singh Rathor ko to jan te honge jo indian politician aur ek professional shooter bhi hain, inhone hi lok sabha me ABS 2 ki unauthorised broadcasting par National Security ko Madde Nazar rakhke sawal uthaya, ki Abs 2 ki India me authorised broadcasting nahi hai jiske chalte Abs 2 apne channel ke duara india me negativity fela sakta hai. Aur sath me ABS 2 signals ke Up-Down links bhi National security ko weak krte hain
Kyonki ABS 2 par MIB(Ministry of Indian Broadcasting) aur DoS (Department of Space) ka Control nahi hai.
To isiliye MIB ne sare indian channels ko apni broadcasting Abs 2 se hatane ke nirdesh diye hain. Jiske chalte dhire dhire krke sare indian channels ABS 2 se remove ho chuke hain.

●Kya ABS 2 Dobara Chalega? Chalega To Kab Tak?


Wese MIB ka kahma hai ki ABS 2 ki wajah se abhi tak to India me koi problem nahi huyi, lekin National Security matter me koi risk bhi to nahi liya ja sakta. Isiliye jab tak Indian government aur ABS satellite network ke beech koi agreement nahi hota tab tak ABS 2 band hi rahega.

Ho sakta hai ki bahut jalad ABS 2 India me Apna Authorised DTH plan karle, Lekin ham isme abhi na to kuchh kar sakte hai aur na hi kuchh keh sakte hai.
Umeed hai ki aapko yeh information useful lagi hogi.
Stay Tuned For Latest DTH & Satellite Updates.

No comments:

Post a Comment