New

SES 12 Launched: DTH Services & Channels !


SES-12 Launching-

SES-12 Satellite, Falcon 9 rocket duvara 4th June ko Cape Canaveral mein pad 40 se launch kar diya gya hai.
Jo pehle march 2018 tak launch krne ka aim tha, lekin kuch technical & weather problems ke chalte delay hote hote 31may fir 1st june date fix krne ke baad 4th june ko ise launch kar diya gya.
Watch SES-12's Basic Informative Video
           
Ses 12 satellite
SES-12 Satellite
    

Mission Of SES-12-

Airbus Defence & Space dvaara SES ke liye banaya gaya, SES-12, NSS-6 ki jagah lega aur SES-8 ke sath 95 digree east mein co-located hoga aur India, Pakistan etc me dth ke sath-sath eastern Europe aur middle East mein DTH ke sath sath other connectivity services ko expend karega, aur Australia, Japan aur South East Asia tak coverage krega.
■Also Read :

About Falcon 9 space craft-

Falcon 9 rocket, 6th flight SpaceX SES ke liye launch kiya gaya hai. Falcon 9 ek  ‘full thrust’ version hoga aur craft ki pehali stage pahle 7 Sept 7, 2017 (Boeing X-37B space plane ke liye) par udaya gaya tha.


SES-12 Highlights-

SES-12 ek heavyweight satellite hai aur total 76 active transponders ke saath ku aur ka band mein kam karne ke liye design kiya gaya hai, aur 8 antennas se equipped hoga. Isme 11,685 pounds (5,300 kg) ka launch weight hoga, aaj tak ke kisi bhi SES satellite ka sabse bada aur lagbhag 19 kW ki electric power capability hogi. Iske electric propulsion system ko ise 3 se 4 months mein apne geostationary orbit tak pahunchane mein saksham hona chaahie. eseees -12 ko lagabhag 18 years tak orbit mein service mein rahane ke liye design kiya gya hai.


Myths For SES12-

Jab se SES-12 Satellite launch hone ki news mili hai tab se kuchh log iske coverage map ko dekhkar bahut sare anumaan laga rahe hai, like is SES-12 Satellite par 1000+ or lakhon channels aayenge vo bhi free to air, & India, Pakistan me koi new DTH Aa jayegi, aur to aur kuchh log SES-12 ke, Dishtv wale existing Satellite NSS-6 ke replace krne ki baat par bol rahe hai ki Dishtv hi band ho jayega. Aaise hi myths me kuchh log SES12 ko DD Freedish Se Compare krke SES-12=DD Freedish2 bta rahe hai. Aisi hi bahut si afwahen fel rahi hain.
Watch Video On YouTube




Realty Of SES-12-

SES-12 ke Uper Diye Sare myths me 1% bhi realty nahi hai, bcoz ye sab baaten man ghadant hain, SES ki official website to kya kisi bhi aur website par inme se kisi bhi myth ki information nahi hai.
Sabse pahli baat to NSS-6 ka lifetime period 2018 me pura ho raha hai, is trah se NSS-6 ki services ko continue rakhne ke liye SES-12 launch kiya hai, difference sirf itna hai ki SES-12 Satellite ki Capabilites NSS-6 se kuchh jyada hai. Wese world wide to SES12 ka coverage to jyada hai, But NSS6 & SES12 dono ke south asia(India Pakistan etc) me coverage maps compare kren to inme jyada difference nahi hai. NSS6 pahle jo dishtv ki services de raha hai, SES12 ke apne orbit me set hone ke baad NSS6 ki services SES12 pr move kar di jayenge. So dishtv band nahi hoga.
Filhaal dishtv hame kitne k free to air channels de raha hai, aur yadi maan le ki kuchh aur dth services yaha aa jayen, to bhi 1000+ channels hame nahi mil payenge. Aur SES12 ko DD Freedish se Compare krne ka to koi mtlb hi nahi hai kyonki DD Freedish ek Free DTH hai jabki SES 12 paid TV Services dega.
SES12 ki new dth aur channels ki koi bhi information abhi tak kisi bhi Trusted Source par available nahi hai.
Watch related Video on YouTube

https://youtu.be/74h9YmLmIaw


Final Conclusion-

Finally yahi hai ki aap ese hi bina proof ke unverified news par yakeen mat kro.
Bahut se Satellites ese hi launch & Expire hote rahte hai, jab koi satellite achhi services deta hai to apne aap popular ho jata hai, but pata nahi kiyo SES12 satellite ko launching se pahle hi itna bada mudda kiyo bna diya.
Channels ki information sabse pahle lyngsat official website pr update hogi aur SES12 ki latest Trusted information ke liye aap Hamare contact me Youtube par bhi rah sakte hai.

Thnq😊
■Also Read :

3 comments:

  1. Dstvinstallation.joburg makes it easier for its customers to get high quality satellite dish and aerial and watch out their favourite TV shows in an uninterrupted manner.

    ReplyDelete
  2. thanks for this usefull article, waiting for this article like this again. best map apps

    ReplyDelete